Har Ishq mein ek Raj chhupa hota hai aur har Raj ke parde mein Koi Dard Koi sawal kuchh faisle Akal se Nahin Dil ke zakhmon se kiye jaate Hain aur kuchh intekaam mahz badla Nahin ek paigam hote Hain hidayat hamesha roshani se nahin aati kbhi kbhi andhere hi vah darvaza kholte hain Jahan se
asal sacchai jhankti hai.
Barish ki tez boonde patton se takra kar ek purasrar sa nagma chhed rahi thi
jungle raat ki saye mein duba hua tha darakhton ke jhund aapas mein sar jode khade the jaise vah kuchh chhupa Rahe ho har taraf andhera tha magar Hawa mein nami ke sath ek ajnabi sa khof tair raha tha. Hale bhag rahi thi... nange paon, bheega hua dupatta kandhe se phisla ja Raha tha aur jharion main uljh rha tha ek kante dar tehni n us k bazo pr kharash Dal di piche se kadmon ki awaaz a rahi thi jaise koi uske bahut kareeb ho tez sans aur bekabu dhadkan ke sath usne pukara kaun hai? magar awaaz jungle ki nam faza m jazb ho gae wo bhaag rhi thi achank ek patahr us k paon k neeche aya tawazn bigra qareeb tha k wo gir jati mgr ksi n use tham lya ek mzboot grift ,thandi unglyan aur khamoshi hale n sir utha kr dkha
Niqab posh ..ek siyah shabih chand ke hlki roshni us k chehre ka sirf ek hissa dkha rhi thi Ankhain..gehri siyah ankhain yu jase rat ka husn samete howe purasrar ankhain Hale ka dil zor zor s dhrak rha tha na jane khof s ya Ankhon k sehr s...Haleee ek awaz us ke smaato s tkrae ankahin khuli r sb ghyb Hale sanse drust krti uth kr beth gae us ka kmra khanzada hweli k baqi hisso ke trh shandar tha ala furniture madham roshnio wale fanoos or bareek naqsho nigar s saji chatte .Us k samne us ke maan ka chehra tha jis pr fikr k asar numaya thee kya howa beta koi bura khwab dkh lya kya ?Hale khirki s bahr dkhti rhi jaise vah aankhen abhi bhi use ghur rahi ho woh aankhen Hale zere lab barbarae... Shayad abhi bhi khab k zere asr thi fehmida Khanm ne use gale s lga lya "dil pr mt lya karo khab aksr andr k dabe howe khayalat hote hain tm hassas ho beta " Fehmida khanm n us k balon m unglian pherte howe pyar s kha .
ye Khanzada haweli thi ek shandar nwabi tarz ke rehysh jaha mazi ke khushboo r haal ka waqar ek sath sans lete thee lambi rahdariyan ,qaleeno se dhake farsh , deewaron pr khandani tasaweer aur roshandano s jhankti dhoop wqt k tslsul ka pta deti thi ye wo hweli thi jis ke ikloti waris Hlae noor thi khanzada haweli ka noor..nihayat haseen gehri shehad rang ankho wali lrki jin main chattano jesi mzbooti thi aur us k alfaz main waqar tha usse hakoomt krne k lye bnaya gya tha wo is hweli ke beti thi mgr muqadar n use zimedari Beto wali de thi .Usman Khanzada us k walid khandani rawayton k pasdar ek bawaqar insan the jin ke
shakhsiyat mein robdarana narmi thi khandani faisle unki Rai ke bagair adhure samjhe jaate the fahmida khanm ek ba himmat aur Dil Nawaz khatoon thi na sirf Hale ke dost blke hmraz bhi thi.Nashte ke mez pr sab jama thee Usman khanzada, Fehmida khanm or Hale . Beta rat ko hweli main dawt ha kuch khas mehman aa rhe hain tyar rhna Usman khanzada n kha .Hale n hlke s asbat main sir hilaya dil main na jane ku rat ka zikr ate he wo khab wali ankahin phir s yad ae .
Qasre Hidaya ke dewaron pr wqt jase
munajmid ho gya tha dhoop us k bulando bala mehrabi drwazon s jhank rhi thi ye wo jgah thi jise shahar ke msroof dunya s alg bnaya gya tha ye mehl jo bazahir siyah pathar s bna tha mgr drhakikat razon ka maqbra tha qasr k qlb main ek hoze aab tha rat k wqt jb qasr k fanoos jalte to un ka aks pani ke satah pr prta yu mhsoos hota k pani k andr ek alg dunya basi ho .Jadeed or Qadeem ka haseen imtizaj tha.
Umer Somro Hidaya ka hukmran tha onche qad ,chore seene ka malik raz main doobi siyah ankhain lye howe jin s hikmat numaya thi. Us k hr andaz main asi hikmt thi jo sirf sarbarahon k hisse main ati ha wo kam bolta lakin jb bolta tb fesle hote .Umer Somro sirf hidaya ka hukmran na tha blke berik ke khufya tanzeem ka sarbarah bhi tha ek chupi hoe tnzeem jo dunya k bigre tawazn ko apni roshni s bdlna chahti thi.Khamosh madakhlt , khufya fesle aur taqt ka esa khel jo sirf say main khela jata .
Umer is wqt qsr k khufya kamre main khra tha ye kmra jadeed mwaslati alat aur purani kitabaon ka imtizaj tha ek trf jadeed screens doosri trf hath s likhe howe record Berik ke soch k akas thee.
Batish us k phloo main khra tha wo umer ka purana dost tha aur hr mission ka sathi.Wo umer ke khamoshi ko smjta tha aur us k razon ka ameen tha ."Somro shaher s pegham aya ha "Batish n kha ( qsr k log Umer ko Agha Somro kh kr bulate thee) Mission agee brh rha ha .
Tafseel ? Umer n dkhe bgher poocha .
Ek NGO k prde main chlne wali smuggling ke nali ko hm n pakr lya ha do bache bazyab Howe hain mgr un ka baap abhi tk un k qabze main ha .kon log thee? Umer n swal kya .ye wo giroh ha jo shaher k nichle elaqo main bachon ko aghwa krta ha lakin hme aj rat ek moqa mil skta ha un ka adda bdlne s phle Batish n hmesha ke trh jldi jldi sari maloomat btae .Umer n ghri sans le... Aj rat? theek ha hm nikle gee tayar rhna Umer n robdar lhje m kha .
Khanzada haweli roshan ho rhi thi Fanoos jagmaga rhe thee mehmano ke amad ke tayarian mukamal thi .
idhr Chandni Qasr e Hidaya k sihn m utr ae thi aur Somro mot ka khel khelne ko tyar khra tha mgr kuch tha jo ane wala tha koi raz koi tasadum....( to be continued)